Nishant Nayan

Nishant Nayan Poems

Hume to ghera hai Andheron ne
Bas ek Roshni ki talash hai
Kab se Khayalon mein hai jo
Usse milne ki Aas hai
...

The Best Poem Of Nishant Nayan

Milne Ki Umeed

Hume to ghera hai Andheron ne
Bas ek Roshni ki talash hai
Kab se Khayalon mein hai jo
Usse milne ki Aas hai
Jal-Jal ke jo bujhe
Na jane yeh Jalan hai ya Pyass hai
Aakhon mein hai jo chehra
Na jane wo Door hai ya Paas hai
Kab se Khayalon mein hai jo
Usse milne ki Aas hai
Mar-Mar ke ji uthta hoon aaj
Yah Maut hai ya Saans hai
Jiske Dedar ki chahat hai
Who Hakikat hai ya phir ek Ehsas hai
Kab se Khayalon mein hai jo
Usse milne ki Aas hai
Ji karta hai Bheeg jane ko
Yeh jo unke Noor ki barsat hai
Jo waqt Guzre unki Yaad mein
Pal wo Dard-E-Khas hai
Kab se Khayalon mein hai jo
Usse milne ki Aas hai

Nishant Nayan Comments

Nishant Nayan Popularity

Nishant Nayan Popularity

Close
Error Success