Aahat Poem by Mangal pandey

Aahat



'' Waqt bewaqt tumhari aahat yu dastak si de jati hai
nindo ke aashiyane me takiyo se lipat jati hai...
bite lamho ki wo sham, friday ki jaam ban jati hai..
har chhalakte hue bund ki, wo pyaash ban jaati hai...
waqt bewaqt tumhari aahat, yu dastak si de jati hai....''

khud ki nadaniya, shikayat si ban jati hai
har waqt juban pe aakar, bagawat si kar jati hai
bhula ke gujre hue palo ko, khud ko lagaya gale se..
apni parchhaiya hai magar, tumahri ehasas si rah jati hai....

'' nindo ke aashiyane me, takiyo se lipat jaati hai..
waqt be waqt tumhari aahat, yu dastak si de jati hai.....''

ham jaante magar, khud ko chhupa ke rakhte hai...
har friday ki sham ko, apno se baya karte hai...
Apna sa dil tha, kho gaya unki yaado me,,
mahfil si banti gayi, paimano ke aashiyane me..

'' har chhalakte bund ki, wo pyaash ban jaati hai....
waqt bewaqt tumhari aahat, yu datsk si de jaati hai...''

kab se na jane us waqt ki, aadat yu lag jati hai,
sapno ki duniya bhi kabhi, haqiqat si ban jati hai,,
gamo ki mahfil se kbhi, koi khawaish nahi hamari,
apni pahchan ho na ho, wo naam yaad rah jati hai...

' nindo ke aashiyane me, takiyo se lipat jati hai
waqt bewaqt tumhari aahat, yu dastak si de jati hai..'.

kabhi khayalo ke panno me, yu simat si jati hai..
band palko se ubharkar, raushni si ban jati hai..
sochta hu har waqt yu nashe me, jaam ku bhar jati hai..
waqt bewaqt tumhari aahat, jo dastak si de jati hai.......

'' nindo ke aashiyane me, takiyo se lipat jati hai..
waqt bewaqt tumhari aahat, yu dastak si de jati hai......
waqt bewqat tumhari aahat, yu dastak si de jati hai....''

POET'S NOTES ABOUT THE POEM
This Poem Aahat is a imagination of mind, which sometimes makes us very alive and sometimes hunts the pleasure of Heart...
COMMENTS OF THE POEM
Anita Kunwar 04 March 2015

very nice and heart touching

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Mangal pandey

Mangal pandey

motihari, East Champaran, Bihar
Close
Error Success