Aaj Kal Paaon Zameen Par Tikte Nahin.. Hindi Poem by Rohit Rathi

Aaj Kal Paaon Zameen Par Tikte Nahin.. Hindi



Aaj kal paaon jameen par tikte nahi
Aasmaan ka khwab chode.. choot ta nahi
Aaj kal paaon zameen par tikte nahi
Aasmaan ka khwab chode.. choot ta nahi

Sab ka mol yaha lagta hain
Anmol kuch baki nahi
Keemat ada kare toh
Insaan bhi aaj bikta yahi..

Aaj kal paaon zameen par tikte nahi
Aasmaan ka khwab chode.. choot ta nahi

Sab ka malik aaj sirf paisa hain
Iske saare pujari yahi
Kaaran iske to paraaya apna
Aur apna bhale hi paraaya sahi..

Aaj kal paaon zameen par tikte nahi
Aasmaan ka khwab chode.. choot ta nahi

Naa rishto ki kadar kise
Naa auro ke ehsaason ki izzat kahin
Auro ki baat kya kare
Apne hi bhavnaon ki samajh nahi..

Aaj kal paaon zameen par tikte nahi
Aasmaan ka khwab chode.. choot ta nahi

Khuda ke saath bhi yeh karle fareb
Ram aur Raheem ko bhi baksha nahi
Us ki rehmat ki parwaha kise
Jab uski saza ka khauuf hi nahi..

Aaj kal paaon zameen par tikte nahi
Aasmaan ka khwab chode.. choot ta nahi

Is bhagti duniya mein
Bhaga jaa raha insaan dishaheen kahi
Aisi zindagi ka kya fayda
Jaha khud ke liye hi waqt nahi..

Aaj kal paaon zameen par tikte nahi
Aasmaan ka khwab chode.. choot ta nahi

Apne shabdon mein karke bayaan
Dena chahta hu salaah yahi
Ki katra katra jodkar jo paaye hum khushi
Agar use baatne wale na ho.. toh uska koi mol nahi..

Aaj kal paaon zameen par tikte nahi
Aasmaan ka khwab chode.. choot ta nahi.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success