Aisa Kyu Poem by Mirza Sharafat Hussain Beigh

Aisa Kyu

mujhe kya, har cheez me tera ghar lagta hai
wo sama, teri ghali ka wo manzar lagta hai

pawu zameen pa rakh ke samandar lagta hai
teri muhabbat ka asar is qadar lagta hai

Sulagti huwi aagh pa mujhe chalney do rafiq
Har qadam pa maloom uska reh guzar lagta hai

terey ansuvu ki jo na kar sakey qadar
phir dil uska mujhe to pathar lagta hai

madhoshi ka raaz kya poochte ho mujh se
wo chuppa kahi tere dil ke andar lagta hai

kya meri udaasi chehre pa chha gayi hai?
jo ayeena dekhney se bhi dar lagta hai

aj samja hu apni beybasi ka raaz Sharafat
iske peeche sabab muqadar lagta hai

Wednesday, July 19, 2017
Topic(s) of this poem: love
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success