Aisa Kyun Hota Hai? Poem by Aakash Nengroo

Aisa Kyun Hota Hai?

Aisa kyun hota hai?
Ki mohabbat hamesha
Zamane ke taqazon
Aur asoolon ke
Bilkul bar'akas hojati hai

Aisa kyun hota hai?
Ki ishq hamesha
Baaghi ban jata hai
Bagawat ki lur khatar hawayen chalata hai
Samaj aur samj ke qayidon se
Aik dum khuli jung ka
Ailaan kar deta hai...

Aisa kyun hota hai?
Mohabbat se labrez dilon ko
Toot k bikharna hota hai
Ishq se lubalub aankhon ko
Khoon k aansun rone padte hai

Aisa kyun hota hai?
Pyaar kii sadaqat par
Sachayii par
Kade aur sakht imtihaano ke
Pahaad tode jaate hai

Aisa kyun hota hai?
Mohabbat ki mubaaiyina haqeeqat ko
Kuch naam nihad daana loug
Jo aql e azeem ka daawa krte hai
Bilkul nazr andaz kr dete hai
Halaan ki ye ayaan hoti hai
Din k ujaale ki tarah

Aisa kyun hota hai?
Ishq k parawanun ko
Apni shama'a ke wisaal ki khatir
Apne keemti pankh
Nichaawar krne padte hai..

Shayad..
Aisa is liye hota hai..
Taaki har bairooni chamak
Rakhne walaa ahsaas
Sachi mohabbat ke
Kundan se
Apni makkari se
Chalbazi se
Barabarbi ki jurrat na karen...

Tuesday, July 25, 2017
Topic(s) of this poem: life,love
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success