Ankhe Poem by Rani Jain

Ankhe

bundo si palke hai,

ankhe jo jhapke hai,

ankhe hai aisi,

kaha- unkaha falsafa ho,

samandar mai chipa - chipa sa ,

tera sach teri ankho mai,

samaya rahta hai har dum,

unki ankho ki roshni mai,

chumta jise gagan bhi,

unhi ankho ki malika ho tum,

jise niharna chahe har koi,

har shakhs ki taabir ho tum,

shaksiyat hi tumhari ruh hai,

tumhari ye ankhe ,

ankhe nahi yahi tumhari pahchan hai,

pahchan kya tumhi ankho mai samai ho,

ankho mai tumhari sacchai ka pahara hai,

ankhe to unkahe hi sab kah de

uthe to sajde ke liye,

jhuke to sharm se,

dekhe to maahol khushnuma ho,

neeli si aut mai chupi sacchai si,

dabaye kai tufano ko,

dikhaye sirf khushiyo ke pal

Sunday, May 31, 2015
Topic(s) of this poem: beauty
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success