Barish Poem by AYUSH RANSINGH

Barish

Har taraf Paani hi chaya hai,
Jaane ye Barish kaisi saugat lekar aya hai,
Kya ye kisano ki phasle lehrane ka sanket laya hai,
ya ye Garibi ki ladai me Ankush ban kar aya hai.

iska sadupyog karna sakt hai,
kya iska mahatva logo tak pahuchne me abhi b vaqt hai,
Bairsh me jab har taraf Paani ki behti rakt hai,
phir kyu insaan garmiyo me ek boond ke liye b nishakt hai?

Har saal barish kahi-na-kahi par maut ka bavandar bankar aya hai,
Lagta hai phir be insaan kuch na sikh paya hai,
Har taraf Paani hi chaya hai,
Jaane ye Barish kaisi saugat lekar aya hai....

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success