Bas, Ab Bas Poem by Aditi Joshi

Bas, Ab Bas

Duniya ke jhakham khate khate thak gaye,
Ab to naye raaste aao,
Na jaane sukh ke pal kahan kho gaye,
Bas ghire hue hain dukhon se.
Saathi to kai hai par akelapan nahi gaya,
Andhere mein roshni ka diya bhi nahi dikh raha.
Chalte chalte ab ped bhi chil rahe hain,
Bethne ki thodi mohlat to deja.
Khushiyon ka thikana badal gaya hai,
Dukho ka dariya abhi bhi bhara pada hai,
Saath kisi ka bhi nahin hamare saath,
Phir bhi tera saath hamesha paya hai.
Ek binti hai tujhse e khuda,
Kabhi kisi ko na dena dukh ka dariya.
Sukh ke phool hamesha barsate rahena sab par,
Aur milta rahe aashirwad tera har waqt par....

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success