Chand..Mera Sammohak..... Poem by panchii in the search of freedom

Chand..Mera Sammohak.....

Aye chand tujhme aisa bhi kya he
Nazar tujhse hatate nahin hat ti he.

Tujhe dekhte hi dil me halchal si hoti he
Kabhi khusi to kabhi dil baith sa jata he.

Tujhe dekhte hi dil kahin kho jata he
Jane kis khayal me yeh dub jata he.

Kabhi chehre pe muskan aa jati he
Kabhi ankhen ahen bharti hein.

Kayi khayal dil samandar ke mauj pe….
Aa kar takrati hein…..
Koi ache to koi bure..par…
sare apne…sare pyare.

Taron ki baraat tujhe dulha banati he
Badalon se lukka chippi dil chura leti he.

Aye chand tujhme aisi bhi kya baat he
Nazar hatane par bhi wahin ruk jati he.

Badalon ke darmiyan kabhi tu nazren churata he
kabhi aasmaan me akele hi muskata he.

Ate hen kitne badal… saham to jata he
Unko paar kar ke fir se chandni bikherta he.

Badalon me tera woh chup jana
chup kar fir bahar nikal ana.

Jindegi ki kitaab ki panne banati he
Mushkilon ko chir dalo yahi to sikhati he.

Aye chand tujhme yeh saari baatein hein
Tabhi to nazar hatate nahin hat ti he.

POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Whenever i sit in my balcony i always find moon spreading its light..and i cant resist watching it..its so hypnotising...one fullmoon night i wrote this...
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success