College Ka Ek Saal Poem by arsh garg

College Ka Ek Saal



Pura ho gya college ka ek saal,
Jisme kia hmne bhut dhamaal.
Kuch students the itne kamaal,
Jinhone teachers ka bhi kr dia bura haal.

Attend krne gye jb pehla lecture,
Tb strict lgte the sare teacher.
Students ke alag-alag the feature,
Nhi pta tha kisi ka nature.

Pr ab ho gye hai sb se frank,
Milkar sochte hai nye nye prank.
Register hote hai hamare bilkul blank,
Nhi ati ab hamari koi rank.

Mass bunk krna hai hamari shaan,
Jisse ho gye hai sb teachers preshan.
Cahe subjects ho kitne hi aasan,
Result ke din college dikhta hai bilkul sunsaan.

Ab aenge college me fresher,
Jin ke upar hoga bhut sara pressure.
We will tell them the nature of every professor,
Because by helping them we will derive pleasure.

Pdh-pdh ke nhi bnaenge apna bura haal,
Hm to masti krenge bemisaal,
Full time krenge hm dhamaal,
Aise hi pure honge hamare 4 saal.
Pura ho gya college ka ek saal…..

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success