badhaa lafzon ka yeh wazan kaisa
yeh khel khel ka alag sa fan kaisa
bhanware gulistaan ko baante jo
toh khushbu bina koi chaman kaisa
dilon me jahan base dildaar ki tarah
woh mulk aur woh yaaron watan kaisa
kharidaaron ne boli lagaayi jab se iski
iss pe laada hua phir yeh qafan kaisa
zaahir wafaadari kya karun 'farhan'
saansein, tan aur tujh se ranga man kaisa
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem