Dil Bagh Bagh Ho Gaya...Urdu Ghazal Poem by mazHur Butt

Dil Bagh Bagh Ho Gaya...Urdu Ghazal



Rah e wafa mein aise bhi kuch aa ye marhalay
apni ravish pe woh rehay na hum badal sakey.

Dil mera le uray hein woh josh e mazaq mein
aise haseen luteray ko ab kia
koi kahay?

Badal barastay dekh ker yaad aa gaye woh din
furqat mein teri ankhoan se jab ashk thay bahay.

Eidein bhi aaeen lakh aur aa kar guzar gaeen
qismet mein tha ke yaar se mil payein na galay.

Ab zindagi ki siha shab mein kesi roshni?
Ummeed ke charagh bhi sadyaan huay bujhay


kaise sunayoon majra e dil tujhe sanam
ke ehl e naz hote hein aari niyaaz se.


dil bagh bagh ho gaya mehka gulab e jaan
dekha palat k dushman e jaan ne jo piyar se.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success