Dil Ki Aawaz Poem by Kumar Mohit

Dil Ki Aawaz



'Hey dhara, tujhko naman hai;
jo diye the veer aise;
is amar jhande ki khatir;
khud jiye the jaise-taise;

teri peeda ko samjhta,
ro raha hai sindhu aaj;
taj mein varnit himalaya,
hai sisakta bar bar;
kya isi uthan hetu,
bah chali thi lahu sarita;
anginat budhe pita ne,
thi jalayi putro ki chita;

aaj muskil hai samasya,
par nahi lagti asambhav;
ek jut ho kar pratigya,
hi dila sakti hai vaibhav;
na koi samshir hogi,
na koi bhi dhal;
ham ashimsa ke pujari,
yunhi lenge faisala;

to chalo hum le pratigya,
yu dhumil hone na denge;
kimti jhande ki garima,
aur sada iski hi khatir;
hum jiyenge aur marenge,
aur kahenge ki................
hey dhara tujhko naman hai.............'

Sunday, May 4, 2014
Topic(s) of this poem: patriotic
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success