Dil Ki Kashmokash Poem by Harmeet Saluja

Dil Ki Kashmokash

Kise kahe ki koi ho gaya hai bewafa,
Kise kahe ki aata hai is baat pe rona,

Wo saari mulaqatein, wo anginat baatein,
Dard deti hai ab yehi andheri raatein,

Saans naa lete the wo bin hamare,
Aaj naseeb me bhi nahi unki ek jalak hamare,

Keh kar thukraya hota to shayad dard naa hota,
Tumhe gair se apna naa banaya hota to dard naa hota,

Pyar me tumhare jalaya tha diya,
Par iss toofan se use b bhuja diya,

Dil ki kashmokash b kya dikhati hai,
Khali paimane me bhi unki tasveer nazar aati hai,

Mehfil me jab sunte hai tera naam to hum muskurate hai,
Kabhi hamare saath liya jata tha, ab wo naam kisi aur ke saath lete hai,

Ye dard ki aawaz kaun sunega,
Hamari maut pe kaun royega,
Ae dosto lena humara janaza unki chohkat se,
Kya baat ye dil dhadak jaye unki aahat se.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Harmeet Saluja

Harmeet Saluja

Ahmedabad, Gujarat, India
Close
Error Success