Ek Dinchak Prem Kahani... Poem by Harmeet Saluja

Ek Dinchak Prem Kahani...

Aao dosto sunao ek choti si dinchak kahani,
Ek tha Raja aur ek thi daku Pholarani,
Ek din Raja gaya sabji karid ne mandi,
Vaha pe aayi Pholanrani aur ho gayi nakabandi,
Raja Pholanrani ko dekhkar jor se bola,
Kahe ko tune chor bazari ka dhaba khola,
Pholanrani ne jaise hi bandukh dikhai,
Raja bola tune jo na kaha wo main sunta raha bas uski samat aayi,
Itne me jane kaha se Mogambo aa khada hua,
Aate hi bola Mogambo khush hua

Mogambo ne Pholanrani se kaha apne sare hathiyar aur mal dedo,
Pholanrani haskar boli kyu de kya tu hai koi bebo,
Mogambo ne Pholanrani ko chtaa maara gusse me aakar,
Pholanrani giri Raja ke baaho me jakar,
Raja uski aankho me kho gaya,
Are mamu usko pyar ho gaya,
Raja phir utha Mogambo ko marne ke liye,
Mogambo ne bhi banduk uthai Raja ko marne ke liye,
Raja khud ko Sunny Deol samajke aage bada,
Mogambo ne goli chalayi aur Raja reh gaya wahi khada...

Raja ko goli lagi hi nahi,
Kyu ki goli banduk me thi hi nahi,
Phir Mogambo ko yaad aaya,
Ki wo goli lutane to aaya,
Raja ne ki khub pitayi,
Aur Pholanrani ki ho gayi sagayi,
Pholanrani bani rani sach me,
Aur Raja ban gaya bhai bole to shortcut me,
Thi na ek dhinchak kahani,
Meri zubani...

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Harmeet Saluja

Harmeet Saluja

Ahmedabad, Gujarat, India
Close
Error Success