Do Dilon Ki Majboori Poem by Shrini Deewana

Do Dilon Ki Majboori

Tadap to hai do dilon ki majboori,
Milan se hi hogi yeh tadap bhi poori,
Pyaase ko gar paani mil jaaye,
Phir rahegi na uski koi aasha adhuri.

Dharti Amber mein bhi hai doori,
Par inka prem nahin hai koi chori,
Log kehate hai doori hai inki majboori,
Par yeh kehate hai Kshitij kare Milan ko poori.

Prem aur Mohabbat ki doori ko na kaho tum majboori,
Tadap to hai bas mohabbat ki hai ek zaroori,
Milan ho jaaye to mit jaayegi yeh pyaas bhi poori,
Tab tak is aag ka jalna hai bas zaroori.

Shrini 'Deewana'

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success