Shrini Deewana

Shrini Deewana Poems

Human beings are just like a book,
It’s easy to judge them by just a look,
No need to read them from page to page,
They may not be even of your age.
...

AAP KE AANE KE BAAD

Khushiyaan aayee hai zindagi mein aap ke aane ke baad,
Muskurahat aayee hai chehere pe aap ke aane ke baad,
...

Har sanskriti se badhkar hain, Sanksriti Hindu Dharm Ki,
Himalay se bhi oonchi hain sanskriti Hindu Dharm Ki
Hind Mahasagar se bhi geharee hain sanskriti hindu dharm ki,
Duniya mein sabse badhkar hain sanskriti hindu dharm ki
...

Dil Chahata hai ke mein choom loon tere gulaabi honthon ko,
Jo nasha hai tere honthon mein use peeke madhosh abhi ho jaaoon abhi,
Hosh mein rehana hai kise jab tum baithi ho saamne mere,
Tere baahon mein samaakar dono badan ki aag ko mein bhujaaoon abhi.
...

Raaton ke andheron se na ghabrana tum,
Har raat ke baad subah bhi hoti hi hai,
Is jag ka niyam hi hai kuch aisi yaaron,
Raat aur din is jag ke do pahelu hai.
...

Zindagi sawar gayee tere haath thaamne ke baad,
Jeevan mein raang aa gayee tera saath paane ke baad,
Sooni sooni si raah thi Sooni jeevan ki bhaag thi,
Sab kuch badal chuki sanam bas tere aane ke baad.
...

Kabhi mehandi se saja lo tum apne haathon ko,
Us sajawat ke kisi kone mein hamara naam bhi likh do,
Yeh naam sirf hum dono ko hi nazar aaye,
Kuch is tarah se hum dono ka tum naam likh do.
...

Intezaar rehati hai nazron ko tumahari ek jhalak paane ke liye,
Intezaar rehati hai dil ko tumahari ek aahat sun ne ke liye,
Sanam hum bhi intezaar mein hi baithe hai us din ka,
Jab sanam ke ek jhalak dikhayee degi aur aahat sunayee degi.
...

Apne haathon mein le aayenge hum thoda sa gulaal,
Gulaal se hum laal karenge sanam tumahare gaal,
Ho jaaye jab gaal laal tumahare hum honthon tak tere aayenge,
Lekar tere honthon ko apne honthon mein hum uski laali ko apnayenge.
...

Jab tum roothi rehati ho mera mann udaas ho jaata hai,
Jab tum roothi si baatein karti ho dil mein dard sa ut tha hai,
Tum hi ho sanam mere dil ki dhadkan tum bin jee na sakenge hum,
Yun rootha na karo tum mujhse sanam aansoo chupana mushkil ho jaata hai.
...

Shayad maine ek galati ki hai zindagi mein apni,
Umeedein bahut laga baitha hoon zindagi se apni,
Zindagi ne meri pyaar bahut hi diya hai mujhko,
Phir bhi chahat dil ki kabhi kam nahin hoti meri,
...

Pehele jo udaasi chaayee rehathi thi chehare mein,
Par aaj badal gayee hai muskaan mein
Jab se tum aayee ho jeevan mein
Zindagi rangeen ho gayee hai,
...

Tumahare baahon mein simat jaana mein chaoon sanam,
Tumahare honthon ke mithaas ko mein chakna chahoon sanam,
Sada hi tum ho meri aur sirf meri hi rahogi tum dilbhar,
Hamesha tumahare sang hi rehana chahoon mein sanam.
...

Jab se paya maine tujhko tab se paya hai khushiyaan maine,
Phir bhi na jaane kyon dilbar rulaya hai tujhko maine,
Tum hi ho mera jeevan tum hi ho mere dil ki dhadkan,
Kardoon sanam apne jeevan kadmon mein tere arpan.
...

Dhoondne se har cheez ka jawab nahin milta,
Har insaan ko jeevan mein sacha yaar nahin milta,
Kehate hai ishq chupane se nahin chupti,
Har kisi ko apne dilbar ka pyaar nahin milta.
...

Sansaar ka niyam hai rishtey banana,
chahe woh khoon se ho ya ho dil se,
jag mein jab tum aaye the saath hi rishtey laaye the,
Khoon ke rishtey jo ban jaati hai
...

Duniya mein jo hai dharma aur sabhyata ki pehachaan,
Woh hai mera desh mera pyaara watan Hindustaan,
Jisne shunya sikhayi duniya ko jis se duniya aage badi,
Aise desh ko hum sada kahenge Mera Bharat Desh Mahaan.
...

Kuch hi pal mile the hum tumse,
Kuch hi pal mein tune mujhe samjha apna,
Aur keha di who saari dilki baatein,
Jo tune apne dil mein dafnaya tha.
...

Jab nazrein mile mere tere nazron se,
Nazron se kuch bhi chupaya na gaya,
Tere dil mein chupi saari baatein,
Ek pal mein hi nazron ne bayan kiya.
...

Jis hansi ko dekhne tadapta hai yeh 'Deewana'
Aaj us chehare par chayee itna maayoosi kyon hai,
Hansi hi tere chehare ki khoobi hai sanam,
Hansi ko kabhi chehare se utarne na dena.
...

Shrini Deewana Biography

Hi, I am born and brought up in Mumbai in a traditonal Tamil Brahmin family. Right from my school days I am keen and avid reader of Hindi Poems. I have been hooked to write hindi poem after having read a poem called 'Koshish karne waalon ki kabhi haar nahin hoti' which has been written by Shri. Harivanshrai Bachchan. After having read this poem I was also inspired to write poem and started trying to write poems in Hindi. I have kept the nickname of Shrini 'Deewana' for all my writings. With every poem I am trying to improve myself and my language. In case if there is any error in my language I shall sincerely request the readers to forgive me for the same. Since there is provision for Hindi fonts I am giving all my poems in Hinglish. Kindly bear with me for the same. Kavitaon ke saagar mein hum to bas ek tinka hai magar, Koshish hamari jaari hai bas aage hi badthe jaane ki, Bas aap logon se ek hi guzaarish mein karta hoon, Padthe rahiye sab lekh meri aur galati koi nazar aaye to, Bata dena woh galati mujhko, Is maha kavya ke saagar mein, ek tinke ke jeene ke liye, Tumahaare sahare ke hi zaroorat hai, Mujhe aage badthe rehane ke liye.)

The Best Poem Of Shrini Deewana

Friendship

Human beings are just like a book,
It’s easy to judge them by just a look,
No need to read them from page to page,
They may not be even of your age.

Friendship is never kept in a cage,
Allow it to fly just in its own rage,
See the friendship as it soars in sky,
It’s friendship for which your heart would like to die.

When you had come you had come all alone,
Your parents and siblings had come along,
But friendship is only what you have yourself made,
Never allow a good friendship to fade.

Shrini Deewana Comments

Shrini Deewana Popularity

Shrini Deewana Popularity

Close
Error Success