Dosti Poem by Anand Chauhan

Dosti

meri dosti ka kissa Kuch is tarah hai,
Teri yaadon mai dooba tera ek dost bhi hai,
saath guzzare lamhe ko jab yaad karta hoon,
dimag aur dil se bas tera he naam leta hoon,
,
,
toh meri kahani Kuch is tarah hai mere dost,
haste haste karte the school mai masti har Roz,
apna homework toh kabhi karte the nahi,
aur dusroon ka lagte he nahi tha sahi,
,
,
ek tiffen ke dibbe mai hum dalte the sab haath,
milkar khate the hum har cheez saath saath,
besura toh humara aawaz tha he,
nachte the hum use aawaz mai,
cahe baje dopaher ke 2 ya raath ke 8,
,
,
humari dosti ka nazrana puri duniya ne bhi dekha.
kich de humne dosti ki aise he ek rekha,
duniya wale bhi nahi uthaPAYE, humari dosti par ek bhi sawal,
kyun bachpan ki dost hai bhai.
aur bachpan se he hai hum bemisaal,
aur bachpan se he hai hum bemisaal.....

Wednesday, April 5, 2017
Topic(s) of this poem: friends,love
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
The story is About my childhood and the fun, I enjoyed with my friends
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success