Ek Mulaqat Poem by Anjali ANJ

Ek Mulaqat

Tapti hui dup me kisi ka intzaar tha.
milne ke liye mai nahi shayad vo pal bekaraar tha,
jab dekha tumhe ajeeb sugbughahat thi,
shayad behati hawa me hi marm aur garmahat thi,
jab kadam aage badhe to mulakat anjaan lagi,
par najdeekiyo ke sath kuch pyaari, kuch shaitan lagi,
us safar me mai bahar kuch talaash rahi thi,
par vo madhur sangeet aur laymayi hawa mujhe tmhare kareeb la rahi thi,
us sangeet ki dhun ne humen yun jod diya,
anjanepan ke har bandhan ko tod diya,
vo mulaqat ab ek pehchaan ban gayi hai,
hamari dosti ki jaan ban gayi hai...........

POET'S NOTES ABOUT THE POEM
dedicated to my friend AJ
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success