Fasana E Ajeeb (Urdu) Poem by Mr. M Jamal

Fasana E Ajeeb (Urdu)

Kal ik pahar ki saa'at main izhar huwa
Nalaan yeh dil kuch aisay baiitaab huwa

Kahnay laga paaji 'Ajee kuch kijayae zara! '
Mukhatib hum say aisay wu hamaraaz huwa

Chor kaam lainay lage aise sunn gunn
Tabiyat pay meri barham aisa naaraz huwa

Matlab laaya wu kuch aisay barlab shafeeq
Sukkhan us ka kuch zamzama e pardaaz huwa

Darushti haal ki rukhsat huwi, mahwe hairaat
Dilgeer yeh sokkhta haal, maanind mehtab huwa

Deekhiyay mun ki shokhi, kya karay Jamal
Rukhsat nadaan se gohar e nayab huwa

Friday, May 29, 2015
Topic(s) of this poem: art,love
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success