Ghazal 8 Poem by Daagh Dehlvi

Ghazal 8



na jao hal-e-dil-e-zar dekhte jao
k ji na chahe to na char dekhte jao


bahar-e-umr main bag-e-jahan k sair karo
khila hua hai ye gulzar dekhte jao


utho ankh na sharmao ye to mahfil hai
gazab se janib-e-agayar dekhte jao


hua hai kya abhi hangama abhi kuch hoga
fugan main hashr k asar dekhte jao


tumhari ankh mere dil se besabab-bevajah
hui hai larane ko tayyar dekhte jao


na jao band kye ankh raharavan-e-adam
idhar-udhar bhi khabaradar dekhte jao


koi na koi har ik sher main hai bat zarur
janab-e-'Dag' k ashar dekhte jao

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success