Ghum-E-Zindagi Poem by Harmeet Saluja

Ghum-E-Zindagi

Apna jisse b kahu wo paraya sa lage,
Raat ko ye aankho se aansu bahane lage,
Dil se ye aawaz aaye ki kya rishte nibhate hai log,
Waqt nikal jane pe bhul jate hai log,
Do pal ki baat ko humne dosti samaj liya,
Par logo ne to usse mazak samaj liya,
Bada dil karta hai apna dukh kisi ko batau,
Par iss tez bhari duniya me waqt ho to batau,
Kabhi waqt mila to apni b hum kahenge,
Kisi ke kandhe par sar rakhe hum b do aansu bahayenge..

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Harmeet Saluja

Harmeet Saluja

Ahmedabad, Gujarat, India
Close
Error Success