Hadh hoti hai
Baaton ki beetein lamhaton ki
Hadh hoti hai
Yaadon ki jhuki khwabon ki
Naram si raahon ki
Pal mein marzi se badal jaane wale rasmon ki
Hadh hoti hai
Inkaron ki, jhooti waqalaton ki
Musibaton ke naamon ki
Haare huye ankhon ki
Thaki huyi haaton ki
Hadh hoti hai
Uss nashe ki
Jo kar de naash tere badte kadmon ki
Na hadh hai Na kadh hai
Tere mere jwalon ki
Hauslon ki, bhare dil ke lohon ki
Sang leke chalne wali raahon ki
Junoonon ki
Buniyadon ki
Iss ziddi mann ke maujon ki
Tere in lamhon ke wajoodon ki
Jab uthegi awaaz
Goonj uthenge par aasmanon ki
Tab dharti bhi ruke tere pairon talen
Tu kar buland sangharshon ke teeron ko
Mita de jadh se aazadiyon ke bediyon ko…
..Aazadiyon ke bediyon ko
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem