Har Roz Meri Khudse Yahi Bat Hoti Hai.. Poem by abhilasha bhatt

Har Roz Meri Khudse Yahi Bat Hoti Hai..

Toot kar agar rishtey jud bhi jayen
Gaanth to hoti hai
Zakhm agar dil k bhar bhi jayen
Nishaani to hoti hai
Din raat shaam seher agar beet bhi jayen
Yaadain to hoti hai
Gam aye ya aye khushi zindagi main
Aankhon main nami to hoti hai
Andhera ho zindagi main chahe kitna bhi
Aasmanon main chand taaron ki mehfil roz to hoti hai
Gehra hai sadma to Kya hua
Har sadmain ki ek miyaad to hoti hai
Purane hojate hain anewale palchin
Zindagi ki har seher nai shuruaat to hoti hai
Har roz meri khudse yahi baat to hoti hai..

Wednesday, January 6, 2016
Topic(s) of this poem: emotions,life
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success