Hasi Poem by Meghna Dutta

Hasi

Hasna to sirf ek bahana hai
Dard chipane ka ek asan sa zariya hai
Khush ho to sab pas hote hai
Mushkilo me to koi pass ane ko darta hai
Log kehte hai kisi ki khushi ki wajah bano to khushi dugni ho jati hai
Par asli khushi to kisi ke dard ko kam karne se milti hai
Isiliye sookon se jeena hai to apne sath sath dusro ki madad karo
Khudgarz hokar nahi par unhe apna sochke madad karo
Isme tum bhi khush aur samne wala bhi khush

Sunday, July 29, 2018
Topic(s) of this poem: smile
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success