Mera Khawab Poem by Meghna Dutta

Mera Khawab

Rating: 5.0

Khawab ko jaha koi ahmiyat nahi

Waha choto sa khawab maine dekha hai

Jaha sapne dekhne ka koi haq nahi

Waha ek sapna maine dekha hai

Sapne dekhne ka haq to koi nahi chin sakta

Us par to sirf aur sirf mera haq hai

Sapne mere itne kimti to nahi ki tala marke rakhu inhe

Agar kimti hi hai to inhe sach karne ka haq kyun nahi hai mere pas

Wajah to bilkul safff suthri hai

Sapna dekhna ka agar haq dia hai

To thora biswas bhi rakho

Sayed hum sab kuch na hasil kar paye

Par us raste par chalne me maza bohot ayega

Sunday, July 29, 2018
Topic(s) of this poem: dreams
COMMENTS OF THE POEM
Meghna Dutta 29 July 2018

Thanku so much sir...thanku very much

0 0 Reply
Rajnish Manga 29 July 2018

Excellent poem. Asking for a right to dream and the freedom to realise those dreams. Why should a bird be denied its right to fly. Thanks.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success