Hindi Poem- Mera Sapna Poem by Apurva Jain

Hindi Poem- Mera Sapna

Rating: 3.5


Ek Sapne Ke Piche Bhaag Rahi Hu Main,
Na Jane Yeh Sach Hoga Bhi Ya Nahi,
Phir Bhi Umeed Ka Man Me Deep Jalaye,
Chali Ja Rahi Hu Main,
Ek Sapne Ke Piche.......................


Mera Yeh Sapna Sirf Sapna Nahi,
Meri Khwaish Hai Yeh, Hai Yeh Meri Tamanna,
Ya To Banega Mere Jivan Ka Sach,
Ya Rahegi Sirf Ek Kalpana,
Is Sapne Ko Na Jane Kitne Dino Se,
In Ankho Me Paal Rahi Hu Main,
Ek Sapne Ke Piche............................

Andheri Rat Dekhi Hain Maine,
To Ujale Savere Ko Bhi Dekha Hain,
Jalte Diye Se Faili Roshni Dekhi Hain,
To Uske Tale Chipe Andhere Ko Bhi Dekha Hain,
Usi Roshni Ki Ek Kiran Ke Liye,
Andhero Mein Bhi Jaag Rahi Hu Main,
Ek Sapne Ke Piche........................

Sapna Kya Hain,
Jo Chahu Use Pal Mein Hi Pa Lena,
Sari Duniya Ko In Hatheliyo Mein Bhar Lena,
Yakeen Hain Mujhe,
Apni Lagan Se Ise Zarur Sach Kar Dikhaungi,
Par Dar Hai,
Ki Is Matlabi Duniya Mein Na Kho Jau Kahin,
In Logo Ka Shikar Na Ho Jau Kahin,
In Jaisi Hi Na Ban Jau Kahin..................
In Jaisi Hi Na Ban Jau Kahin..................

COMMENTS OF THE POEM
Shamik Kumar Bose 23 December 2009

it is apurba. very poetic. bahut khub.

18 3 Reply

OMG! ! ! WHAT a poem.... Kya sapna he....! ! It seems u r a very confident girl... Keep writin...10 for this :)

17 3 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success