Hindi Poem: Tu Poem by Sinbaad T S

Hindi Poem: Tu

Rating: 5.0

Ye raat hairaan hai, jo aaj yahan chhaai hai…
chaand, taare, falak… sab ko sang bula lai hai…
khushnaseeb hain ye saare jo ye nazara dekh paenge…
suna hai inhone ki aaj do chaand nazar ayenge


tak ke dekhenge aaj tujhey, inki kismat jo rang layi hai
kya inhe bhi pata chal gaya tu is waqt baahar ayi hai?
sochta hun ki ye bechare, kaise jalti nazron se dekhenge,
wo aasmaan ke taare jo tu apni kali sari mein samet layi hai…

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success