Tarun Kumar
Intezaar Hai Mujhe.... - Poem by Tarun Kumar
lamhein zindagi ke guzar rahe hain yun
dil ko na rahi ab dhadkanon ki aarzoo
ummeed mein teri dil ab bhi chal rha hai
aagosh mein aane ko tere, ye machal rha hai
tere ishq mein iss kadar kho gaya hoon
bhool gaya har gam yun tera ho gaya hoon
dikhe na tu kabhi to saans ruk si jaati hai
tujhe khone ke dar se hi aankhein nam ho jaati hain
nazrein meri harsu tere deedaar ki talabgaar hain
aa jaye tu jeevan mein yehi ek darkaar hai
ya khuda pyaar ka izhaar usse kaise karun mein
kaise mein bataun kitna gehra mera pyaar hai
tu agar saath na ho zindagi bemaani hai
tu mera hamsafar ho to hi zindgani hai
ek din tu meri hogi yeh aitbaar hai mujhe
har pal tere saath aane ka ab intezaar hai mujhe
Read this poem in other languages
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem »

Tarun Kumar's Other Poems
Famous Poems
-
Phenomenal Woman
Maya Angelou
-
Still I Rise
Maya Angelou
-
The Road Not Taken
Robert Frost
-
If You Forget Me
Pablo Neruda
-
Dreams
Langston Hughes
-
Annabel Lee
Edgar Allan Poe
-
Caged Bird
Maya Angelou
-
If
Rudyard Kipling
-
Stopping By Woods On A Snowy Evening
Robert Frost
-
A Dream Within A Dream
Edgar Allan Poe
Comments about Intezaar Hai Mujhe.... by Tarun Kumar