Jaate Ho To Jao Poem by Pearl Kedare

Jaate Ho To Jao



Kiya hai maine tumse hi pyaar,
Tumko hi chaahe yeh dill baar baar!
Tum na samjhe the mere dill ka haal,
Jaane kahan chale gaye mujhe chodhkar yun behaal..

Tumse hi tha din mera, tumse hi meri shaam
Tumse hi the har pall mere, chahe subah chahe shaam
Dill ka ye dard tum na samjhe, jaane waaley jaate rahe
Roka tha tumhein har pall, chaha nahi ki kabhi jao tum

Kismet ka yeh faisla humein kabhi manzoor na tha,
Bass khwahishein hi reh gayi hain ab mere paas
Chahkar bhi nahi bhula sakungi tumhara pyaar
Reh bhi gaye hain mere jeene ke pall chaar

Jaa rahe ho, jao, rokungi nahi tumhein main
Jana hai maine abhi abhi kki, mera pyaar tha ek bandish tumhare liye,
Kiya aazaad tumhein har waadon se ab
Par jaate jaate yeh to batatte jao, jeeungi main ab kiske sahare

Pyaar to kiya tumne bhi, pyaar kiya hai maine bhi
Par aisi kaisi hai tadap jo bass mujhe jalati jaati hai
Tum to khush hi nazar aaye hamesha mujhe,
Bass mujhe hi kyun itna ye rulati hai

Har kucch karke dekha, magar rok na paayi tumhein jaane se
Rok to use bhi nahi paayi thi tab, jaane waaley jaate rahe
Reh gayi to bass main peeche, Tanha, akeli
Puccha bhi nahi kisi ne, kaise jeeyogi mere bin

Kya yehi insaaf hai sacche pyaar ka?
Jise chaha usi ne aansuon ko chodha meri kismet mein
Kya yehi sila hai mere pyaar ka?
Jiske sahare jeena chaha wahi chala gaya kisi aur dagar

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success