jab jab is dil main jhakta hoon
toh tu hi tu nazar aati hai
tum se milne ki
fir becheni si cha jati hai
chupane ki lakh koshish karun
par chup nahi pati
yeh dil ki lagi
bujh nahi pati
karun toh karun kya
mere dil ke aage
dimag ki chal nahi pati
teri muskuraht par jo main tha marta
wo fir madhosh kar jati hai
yaad aane par mughe fir se
dewana kar jati hai
teri aakhno ki gharayee main
kuch is trhaa dooba hoon
zamane ko kya
khud ko hi bhool betha hun
itne door hone ke baawjood bhi
tu kareeb najar aati hai
jab jab is dil main jhakta hoon
toh tu hi tu nazar aati hai
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem