Jahan Par Garib... Poem by Khaja Shaik

Jahan Par Garib...

Jahan par garib bhukh-pyaas ko lekar hai pareshan,
Rayees kamayi rashi chupane ko lekar hai pareshan,
Jahan Amir aur ameer, Garib aur garib ban raha hai,
Ab sukoon se bhala yahan koi rehta hai,
Chain ki neened ab kaun yahan sota hai,
Har pal bechaini-betabi ke sath jeeta hai...
Hai aisa haal hamare rehte is jagat ka ab,
Na jane hoga iska haalat aur behtar kab? ? ? ...

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success