Jane Kyu.. Poem by Harmeet Saluja

Jane Kyu..



Jab saath naa nibhana tha to Rabne kyu mileya tumse,
Jab dil hi todna tha to dil humne kyu lagaya tumse,
Jab aankh se aansu hi behane the to kyu khushiya dikhai tumse,
Jab bewafai hi thi naseeb me to kyu wafa karwayi tumse...

Jab mile to jana ki mohobaat kya hai tumse,
Jab dil tuta to jana ki zakham kya hai tumse,
Jab aansu behahe to jana ki khushiya kya hai tumse,
Jab bewafai huyi to jana ki sachi wafa kya hai tumse...

Jab vaade naa nibhane the to kasme kyu khayi tumne,
Jab rishta todna tha to dhage kyu bandhe tumne,
Jab aankhe na milani thi to ankho se baat kyu ki tumne,
Jab kaatil the tum to hume kyu pagal banaya tumne....

Jab vaade tute to jana ki kya kasmo ki kimat lagai tumne,
Jab rishte tute to jana ki kya humari ahmiyat jatayi tumne,
Jab ankhe na mili to jana ki kya dhokha diya ankho se tumne,
Jab pagal bane to jana ki kya pagal se pyar kiya tumne...

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Harmeet Saluja

Harmeet Saluja

Ahmedabad, Gujarat, India
Close
Error Success