Jheel Poem by Bharat Mehru

Jheel

Deergh path par chalte
trishit kanth ke liye
iss mod se aage
meethe jal ki ek
jheel aaye,
vikaar bhare
jivan kalash me
kadli patr aur
shri fal jaisi
sheel aaye
to-
shubh sakunon ko
maathe par rakhkar
jeev ka jivan se
mel karaata
badhta jaau
tab apne chhalon ki
unake bhalon ki
koi vyatha na kahunga
path mera rahega
mein path ka rahunga
Mitron!
ab to
nabh me udati
disha dikhati
udaatt dhawal
pankhon wali
koi cheel aaye
bas ek baar
iss mod se aage
ek meethe jal ki
jheel aaye,
ek meethe jal ki
jheel aaye.



trishit=pyase
vikaar=burai/ rog
kadli patr= kele ka patte
shri fal=naariyal
vyatha=dukh
udaatt=faile hue
dhawal=safed
cheel=kite

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Bharat Mehru

Bharat Mehru

Borunda Jodhpur
Close
Error Success