Joker - Tu Lad Raha Tha Aur Lad Poem by Mukund Pathak

Joker - Tu Lad Raha Tha Aur Lad

Rating: 5.0

Har waqt makul ho, ye jaroori nahi...
Binbataye kabhi kabhi khuda imtihaan bhi leta hai...

Tumhari shiddat, tumhare mustakbil ka faisla farmati hai,
Tumhari shiddat se khuda tumhe eenam bhi deta hai...

Tu lad raha tha aur lad
Tu badh raha tha aur badh

Agar,
Ye duniya kar rahi hai tujhe barbad karne ki sazish
To nikal khanjar aur dikha de aapni koshish.


Tu ladega, tu chalega, tu badhega..
Ye duniya tujhko fir buri baat kahega
Tu jhukega, tutega, fir mudega,
Tu jeetega, udega, fir duniya tujhse jalega...

Chheni hathoudi bin moorti kahan
Koshish ke bin ikchaa ki poorti kahan,
Jis roop pe shringar hai, uski baat to chodo
Bin paise ke ek kutiya bhi ghoorti kahan?

Tu dar mat, tu lad
Tu mud mat tu badh

Jisme samridhi nahi khushi nahi wo ghar kahan
Jisne baazi khelne ke naam se muh mod liya wo Baazigar kahan

Log tujhe joker kehte hai to ban ja,
Kyu ki joker se khatarnak koi nahi,
Joker hasana bhi jaanta hai,
Joker game bajana bhi jaanta hai...

COMMENTS OF THE POEM
Eshita 12 February 2021

🔥🔥

0 0 Reply
Varsha M 12 February 2021

A very encouraging poem. Beautiful.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success