KıSı Dars Say MıTtı LabraıZ Hotı Poem by iqtidar javed

KıSı Dars Say MıTtı LabraıZ Hotı

Rating: 5.0

Garray hein
Hazaron baras say yaheen par
Na gharyal mein jadooi hinddasay hein
Na nau rangi subhon'
Talismati shamon ka maila nishan hay
Ufaq kay kinaray
Phatay aur sukartay huay
Aik bay rang kapray kee sorat
Wahan jhooltay hein
Jahan ham nay mil kar
Suhanay zamanon kay hamrah
Nannhay parindon say naghmay sunay thay
Hawaon ko urna sikhaya
Sikhaya tha shaffaf pani ko chalna
Nashaibon kee janib
Sitaron ko daikha
Unhin mustaqar un ka pehla dikhaya
Wo soorat dikhai
Jahan roshni nay bilaakhar thaharna tha
Khiama falak ka uthaya
Zameen ko bichhonay kee soorat bichhaya!

Abhi waqt
Aankhon kee roshan tahon mein para tha
Agar aik aansoo tapakta zameen par
Yahan waqt aghaz karta safar ka
Hawa
Apnay daman mein
Aansoo ko lay kar nikalti
Kisi dard say mitti labraiz hoto
Zara aur zarkhaiz hoti!


Hazaron ugon baad
Phoota hay ik aur aansoo
Nigahon kee tareek teh say
Kisay yih larazta hua aik aansoo
Faqat aik aansoo
Dikhain
Kahan ja kay is ko bahain!

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
iqtidar javed

iqtidar javed

Bashahpur Mandi Bahauddin Pakistan
Close
Error Success