Kabhi Kabhi Mere Dil Mein...: Meri Vyatha (Hindi) Poem by Veer Dhiman

Kabhi Kabhi Mere Dil Mein...: Meri Vyatha (Hindi)

Kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai,
Fir jaane mujhe kya ho jata hai?

'Gyaan', agar zindagi ka aadhar hai,
Toh kyun insaan neev hilata hai?

'Maa', agar zindagi ki raah hai,
Toh kyun insaan dagmaga jata hai?

'Pita', agar zindagi ke margdarshak hain,
Toh kyun insaan bhatak jata hai?

'Guru', agar zindagi mein marg-sangi hain,
Toh kyun insaan bhool jata hai?

Kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai,
Fir jaane mujhe kya ho jata hai?

'Vishwas', agar zindagi ki dor hai,
Toh kyun insaan dhokha khata hai?

'Rishte', agar zindagi ke dhaage hain,
Toh kyun insaan deewar ban jata hai?

'Prem', agar zindagi ka saar hai,
Toh kyun insaan bairi ho jata hai?

'Vartamaan', agar zindagi ka mool hai,
Toh kyun insaan bhavishya banata hai?

Kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai,
Fir jaane mujhe kya ho jata hai?

'Dhan' agar zindagi mein manu-mail hai,
Toh kyun insaan jhukta jata hai?

'Moh', agar zindagi mein maaya hai,
Toh kyun insaan andha ho jata hai?

'Krodh', agar zindagi mein jwala hai,
Toh kyun insaan, insaan ko jalata hai?

'Lobh', agar zindagi mein kadvaahat hai,
Toh kyun insaan zehar peeta jata hai?

Kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai,
Fir jaane mujhe kya ho jata hai?

'Tyaag', agar zindagi ki mithaas hai,
Toh kyun insaan nahi kar pata hai?

'Daan', agar zindagi ki bhalai hai,
Toh kyun insaan ahenkaari ho jata hai?

'Izzat', agar zindagi ki kamai hai,
Toh kyun insaan ise ganva deta hai?

'Maut', agar zindagi ki sachchai hai,
Toh kyun insaan jeeta chala jata hai?

Saturday, September 10, 2016
Topic(s) of this poem: inspirational
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Here 'manu-mail' means manushya ke mann ka mail....(Dirt inside the heart of human) ......
COMMENTS OF THE POEM
Ramesh T A 11 September 2016

It reminds me of a famous Hindi movie song!

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success