Khoya Pyar (Hindi) Poem by Jay P Narain

Khoya Pyar (Hindi)

Pas rahte hue bhi duriyan dikhti hain dil ke aaine me,
Hawa me rahte hue bhi padosh sunya lagti hai jigar me,
Pyar ki chabi bhay bhit aur anischit lagti hai anubhaon me,
Kale baadlon se bhara gagan byakul hai gambhir barish me.

Humsafar khojte hain anubhaon ke sagar me,
duriyan hi dikhti hain in lambi rahon me,
humdard ke sang baatna chahte hain umang jo hai hamare dil me,
Lekin in tammanaon ko koi sunta nahi in sune rashto me.

Rishte jo banaye the anek lamhon me,
Toot jaaten hain anban se chan bhar me,
Mahal jo banaye the sunhare sapnon me,
khandahar ban jaate hain matlabi duniya me.

Apnanpan doondhte hai is ajnabi duniya me,
Koi niswarth milta nahi is jagat me,
Lagav ki kimat nahi hoti hire moti me,
Khoya pyar doondhte hai ummido ke upvan me.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success