Kyon? (Hindi) Poem by Veer Dhiman

Kyon? (Hindi)

Kyon fir Damini khadi ho uthti hai?
Kyon apne hi daaman se woh darti hai?
Kyon sammaan ki uske koi maryada nahi?
Kyon uska apmaan kai zyada hi?

Kyon uska insaaf maut hi hai?
Kyon uske nyaay mein sankoch bhi hai?
Kyon anyaay bhi abhi khuleaam hai?
Kyon anyaay hi uske naam hai?

Kyon Damini ke sawalon ka jawaab nahi?
Kyon na hue uske poore khwaab bhi?
Kyon uski nyaay-guhaar feeki-si hai?
Kyon ab woh gum si hai? ? ?

Sunday, January 29, 2017
Topic(s) of this poem: aggression,psychology
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success