Kyun? Ae Khuda! Poem by Mayonaise ketchup

Kyun? Ae Khuda!

Rating: 5.0

Ae Khuda! Yeh kaisa ehsaas hai
Rishta kyu ye itna khaas hai?
Alag or itne door hokar bhi hum saath hai
Per kyu nahi uske haatho me mera haath hai?
Haatho ki lakirey bhi bhi tune ek jaisi banayi hai
To kyu kismat mein wo meri nahi sirf judaai hai?
Mere haath mein uske or uske haath me mere shabd ki lakeer hai
To kyu itna ameer hokar bhi ye dil itna faqeer hai?


Ae khuda, kya chahta hai wo hi batade
Thoda sukoon dede hume ya ache se sataa le
Yeh judaai, yeh bebasi se marr to nahi jayenge
Saanse chal to rahi hai per le nahi payenge
Ek hi jaan banani thi to jism k do tukde kyu kiye?
Do alag saanse, alag soch di, Rooh ek or dil do kyu diye?
Bheega sirf mera hi nhi daaman, na bacha uska anchal hai
Nadiyo se gehra hai, ghaav! na uncha isse himachal hai
Safar ye binn humsafar kaise safar hoga
Jeete jee na sahi amar mera kafan hoga
Toot to chuke hai dono hi, na bachi koi aas hai
Raha saha Tu to Khuda hai? tujhpe knha mujhe koi viswaas hai


Pyaar hai bepanah saath hona swikaar nahi
Uska hoon mein per mujhpe uska koi adhikaar nahi
Chahat ka koi khwaab pura hona hai nahi
To kyu dikha rha hai jo nahi hai bilkul sahi
Maut hi dede Khuda agar dard hi hai tujhe dena
Mujhh bin use or us bin mujhe ab nahi hai rehna
Aadha hisa hai mera per wo meri ardhangini nahi hai
Saath hona chah bhi le to duniya ye manegi nahi re


Kyu tu yuh hume april fool bana raha hai
Ek pal ki khushi or din bhar dhool chata raha hai
Jaan lele ya kaise bhi mujhe meri jaan dede
Apmaan karle chahe per mera sammaan dede
Ye safar kyu itna muskil kar raha hai tu Ae Khuda
Kar hi de juda kar na paaye jab tu itna sa huqq adaa
Us per mera or mujh per uska karwa de rutba
Ya karde fanah use bhi or karde mujhe bhi tabah


Tu karle apne Mann ki khuda tera hi to sansaar hai
Kyu rakha hai zinda? dena nahi jab tujhe mera pyaar hai
Ae khuda mere bus mein ab kuch or to hai nahi
Tu bus is dil or dimag ko thehraav de
Thak gaye hai hum ab or na ise ghaav de
Jala de dhoop me ya fir ab thodi chaav de
Ae khuda mujhe sirf uska hone ka wajood de
Tu hai ya nahi khuda apne hone ka saboot de.


Ye kaisi taqdeer tune banayi hai ae khuda
Wo hi Dard wo hi merham or wo hi dawai hai
Yeh kya taqdeer bana raha hai tu ae khuda
Karde hume tu ek ya karde ek dusre se judaa
Yeh doori, ye lachari humse sahi nahi jayegi
Dard nahi tu maut hi dede, neend usme acchi aayegi

-Mahiyo

POET'S NOTES ABOUT THE POEM
abhi thoda sahi karna baaki hai
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success