Ladkiyaan Poem by Pranjali Aloni

Ladkiyaan

Aaj kya kuch nahi kar sakti hai ladkiyaan
Mauka mile to sabke muh band kar sakti hai ladkiyaan

Ias adhikari bani Kiran Bedi
aur aaj unke sang khade hai Narendra Modi
Jab 14 varsh ki aayu me malala ne kiya aisa kaam
To kitne bade bade kamo ko dendi ladkiyaan anjam

Bade bade desho se mukabala kar jaati hai yeh ladkiyaa
Olympics me swarna padak jeet aati hai yeh ladkiyaan
Kitne balatkariyo se lad jaati hai yeh ladkiyaan
Kitne apradhiyo ko jail pahuchati hai yeh ladkiyaan

Aaj kis shetra me aage nahi hai naariyaan
sushmita sen ne abhinay kar jeeti hai taaliyaan
ab yahi to kahti hai ladkiyaan
ki kabil to samjho hamko
toofaan la denge hum
ek mauka to do humko
aasmaan choo lenge hum

Friday, March 27, 2015
Topic(s) of this poem: societal
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Through this poem I want to prove that girls are strong and can do whatever they want
COMMENTS OF THE POEM
chinmay 02 September 2021

already a big fan

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success