Magroor Khuda Poem by Shrini Deewana

Magroor Khuda

Ai khuda tune dil kyon banaya aur dil mein aise ek tadap kyon banaya,
Jab banaya hi tha dil aur tadap to dil mein mohabbat ka chirag kyon jalaya,
Jab chiraag jala diya tune dil mein mohabbat ka to yeh faasle kyon banaya,
Itne faasle banakar duniya mein tune insaanon ki majbooriyan kyon badhaya.

Jo dil mein bhari rehati hai nafrat un dilon ko to tu paas paas kyon hai bithaya,
Jo dil mein bhari hoti hai sachi mohaabbat un dono ko itne door kyon banaya,
Sab kehate hai magroor insaan hote hai mein kehata hoon majboor insaan hote hai,
Magroor to ai khuda tu hi hai jo sab kuch jaan kar bhi tune premiyon ko hai rachaya.

kya milti hai is mohabbat ke tadap se tujhko bas itna mujhko aaj bata de tu,
Kyon banayee hai tune mohabbat mein doori bas itna mujhko aaj bata de tu,
Agar pyaar gunah hai tere duniya mein to radha ko kyon apnaya hai,
Kya tera pyaar hi pyaar hai bas itna mujhko aaj bata de tu.

Itna magroor na hona ai khuda samajh majboori insaanon ki bhi,
Jab pyaar tune jagaya hai do dilon mein to karde tu kaam unhein milane ki bhi,
Agar milana nahin tha tujhko to pyaar jagaya hi kyon un dil mein,
Tere pyaar se kam nahin hai pyaar duniya ke insaanon ki.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success