Mai Aapne Takiye Se Baat Karta Rehta Hu.. Poem by Mukund Pathak

Mai Aapne Takiye Se Baat Karta Rehta Hu..

Mai Aapne Takiye Se Baat Karta Rehta Hu...
Mai Din Bhar Yehi Fariyaad Karta Hu...
Mai Aapne Takiye Se Baat Karta Rehta Hu...

Kahan Chali Gayi Tu Mujhko Chor Kar..
Bas Din Bhar Tujhe Yaad Karta Rehta Hu...
Mai Aapne Takiye Se Baat Karta Retha Hu..

Aapni Maan Ki Sari Baatein Kehta Rehta Hu..
Dil Me Chupi Sari Jasbaatien Kehta Rehta Hu...
Magar Tujhe Kho Jaane Ke Dar Se,
Mai Sapne Me Bhi Darta Rehta Hu...
Mai Aapne Takiye Se Baatien Karta Rehta Hu..

Aansu Jitne Dekhe Hai Mere Uss Dost Ne,
Mai Usse Chupane Ki Kosis Karta Rehta Hu..
Mai Aapne Dil Ki Baatien Batane Ki Kosis Karta Rehta Hu...
Duniya Ki Nazar Me To Bas Ek Hasne Khelne Wala Ensaan Hu..
Magar Aandar Hi aandar Se Mai Marta Rehta Hu...
Mai Aapne Takiye Se Baatien Karta REhta hu..

Bura Waqt Ho Ya Ho Samay Bura..
Har Waqt Mera Uss Takiye Par Gira...
Roo Roo Ke Mai Usse Jasbaatien Kehta Rehta Hu..
Mai Aapne Takiye Se Baatien Karta Rehta Hu..

Gussa Aaya To Kabhi Usse Mar Bhi Diya..
Khusi Hui To Haskar Usse Pyaar Bhi Diya..
Udas Hua To Kamre Me Use Akele Le Kar...
Aapni Sari Haalatien Kehta Rehta Hu...
Mai Aapne Takiye Se Baatien Karta Rehta Hu...
Mai Aapne Takiye Se Baatien Karta Rehta Hu...

Mai Aapne Takiye Se Baat Karta Rehta Hu..
Thursday, November 10, 2016
Topic(s) of this poem: loneliness,lonely,love,sad,sad love
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success