'Main Chala Hun' Poem by vinay shankar prasad

'Main Chala Hun'



Ek sahara dhundhne nabh me chala hun
dard ka sagar chhupaye main chala hun
kasti mera dub n jaye sahil par
kyonki jag ko chhore nij pag main chala hun

Jindagi ke ghutan se ghut sa gaya hun
saphar jindgani me tanha rah gaya hun
har taraph nirasho ka hai dher dikhata
aasho ke lakiren dekhe main chala hun

Kalike khilne se pahle jhar gaya to
jindagi jine se pahle mar gaya to
kusur mera hoga n jag ke gali me
kyonki chetan shunya sa main ho chala hun

Lakshya ke lambe saphar me thak gaya hun
bhagya se riste- w nate tod chala hun
jo hoga achha hi hoga soch ke ye
shesh jindagani sajane main chala hun

Dard kitne huye mujhse mat yah puchho
kaise pal-pal main dabaya mat ye puchho
sun mera dard tujhpar gam ban chha n jaye
dardo ko daman chhipaye main chala hun

Amit yehsano ke chhapo ke talo ki
mit saken n dasta gujare palo ki
un sabhi ke yado ko ur me sajaye
ek kahani sa hi ban khud main chala hun

Kisi ka to karj mujh par kam nahi hai
dikhta hai ehsan lagta ham nahi hai
kinko abhinandan karin es vinay mukh se
sar jhukaye kar ko jore main chala hun

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
vinay shankar prasad

vinay shankar prasad

Sain Kaswa, (Muzafffarpur) , Bihar
Close
Error Success