Mere Apno Ne Poem by Paaris Sohail

Mere Apno Ne

Unki Ik Nishhani Thi Jo Jala Di Mere Apno Ne
Meri Hasti Khaak Mein Mila Di Mere Apno Ne
Yeh Jaante Huye Bhi K Koi Aur Thikana Nahi Mera
Unki Aankhen Bhi Mujhse Chhupa Din Mere Apno Ne
Ab Aur Kya Gila Karen Hum Kisi Bhi Baat Ka
Meri Khuwaaishen Jo Dafna Din Mere Apno Ne
Toot Kar Jo Gire To Phir Sanbhal Na Sake Hum
Sabhi Baazu Jo Liye The Hataa Mere Apno Ne
Aaj Us Muqaam Par Laa K Phenk Diya Mujhe
Jis Muqaam Se Tha Uthaaya Mere Apno Ne
Jo Pakra Tha Kabhi To Sahara Dete Mujhko
Beech Manthaar Kyun Chhor Diya Mere Apno Ne
Chal Jhalleya Laga Le Saath Khuda K Ap Tu
Kuch Bhi Nahi Hai Tujhe Dena Tere Apno Ne

Monday, December 14, 2015
Topic(s) of this poem: poetry,sad
COMMENTS OF THE POEM
Akhtar Jawad 15 December 2015

Apnon ke deye hue dukh zeyadah dukhte hayn. Khoobsoorat aur mutasirkun kalam.

1 0 Reply
Paaris Sohail 15 December 2015

Bohat Bohat Shukriya Akhtar Jawad apni raaye dene ka. Bilkul baja farmaya apno k diye huye dukh hi ziyada dukhte hain

0 0
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Paaris Sohail

Paaris Sohail

Pakistan
Close
Error Success