Meri Dhadkan Ka Ek Hissa Hai Poem by Mukund Pathak

Meri Dhadkan Ka Ek Hissa Hai

agar koi ghaw jam jaye kabhi seene ya hathon pe...
kya tum usko kaat skte ho aakar kisi aajnabee ki baaton pe...

bhale hi dard kyu na de wo hath mera...
wo hardam rahega sath mera...

hath ko tum nai hata skte kyu ki wo tumhare sarrer ka ek aang hai...
to kyu hata dete ho usko jo rehta tumhare sang hai...

jahan par hoti mohabbat or pyaar hai...
wohi to hoti hai halki si takraar hai...

uss gusse me aakar kya tum rasta mod doge...
ek chote se gusse me kya tum mera sath chor doge...

ha dost sahi samjhe laya hu pyaar ki ek nayi rawani...
lo aaj sunata hu tumko aapne mohabaat ki ek or kahani...

hakikat me ye koi kahani nai hai ye mera hi kissa hai...
wo sirf meri mohabbat nai wo meri dhadkan ka ek hissa hai...

are jahan par pyaar hota hai
wohi par takrar hota hai...

tu ruthe to manaounga mai
tujhe aapne paas bula kar seene se lagaunga mai...

har samasya ka samadhan usse bhagna nai hota...
har baar thokar kha kar uth jane par jaagna nai hota...

hoti hai takleef mujhe bhi ye mai jaanta hu...
par uske baad bhi tujhko mai aapni jaan maanta hu...

gussa etna ki tujhse baat na karu
par pyaar etna ki tum bin jee na sku...

dard bhle hi deta hai wo ghaw meraa par mai usko kaat nai sktaa
tumko mai etna cahta hu ki tumko kisi k sath bhi baant nai sta...

ha fir se kehta hu ye bas mera ek kissa hai...
are jaan ko koi keh do wo meri dhadkan ka ek hissa hai...

Meri Dhadkan Ka Ek Hissa Hai
Wednesday, October 18, 2017
Topic(s) of this poem: sad,sad love
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success