Mother's Love Poem by pandey rishabh

Mother's Love

Halato ke aage jab sath na juban hoti hai,
Pahchan leti hai khamosi me har dard vo sirf maa hoti hai.
Ek thapki nind le aati hai,
Vo jab bhi lori gati hai,
Chehre ka bhav dekh kar hi, har baat samajh vo jati hai.
Rooh ke rishton ki ye gahraiya to dekhiye,
Chot lagti hai hame or chillati hai ma,
Ham khusiyo me maaa ko bhale hi bhool jaye,
Jab musibat aa jaye to yaad aati hai maa.
Ye kaisa karz hai jise me ada kar hi nahi sakta,
Mai jab tak ghar na aa jau maa sajde me rahti hai.
Sakht raho me bhi aasan safar lagta hai,
Ye meri maa ki duvao ka asar lgta hai.
Sab kuchh mil jata hai duniya me magar,
Yaad rakhna ki bas maa-baap nahi milte.
Murjha kar gir jaye jo ek baar daali se,
Ye ese phool hai jo fir nahi khilte.
-Rishabh pandey

Sunday, December 24, 2017
Topic(s) of this poem: mother,mother and child
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success