Muhabbat- Ek Ehsaas - - An Urdu Nazm Poem by Vikas Sharma

Muhabbat- Ek Ehsaas - - An Urdu Nazm

Muhabbat kya hai, ek ehsaas ke siva kuch bhi nahi
Samjho toh sab kuch, na samjho to kuch bhi nahi
Sirf ik zazba hai hai kisi ki chahat ka, chahne ka
Aur ta_umr ka irda ban jaata hai ussey paaney ka
Pa liya, toh uski aadatein aur wajahatein saamne aati hain
Kuch pasand Kuch napasand, aur kuch khwab todne lagti hain
Pareshaan se hum dhoondhtey rehtey hain jiska tasawur kiya tha kabhi
Dekha tha jis insaan ko khwabon ki dhundhli si tasveer mein kabhi
Yeh insaan aznabi hai ya who tasveer thi kisi aur ki
Isi kasmakash mein kaatne lagtey hain zindagi apni baki
Bhool jaatey hain ki haqiqat mein muhabbat faqt karne ka ehsaas hai
Kisi aur ki muhabbat hone ki aarzoo to sirf adhoori pyas hai
Shiddat se muhabbat karna hi hai tere bas ki baat "vikas' aur kuch nahi
Woh lautaye teri muhabbat ya na lautaye iss par tera ikhtiyaar nahi


मुहब्बत क्या है एक एहसास के सिवा कुछ भी नहीं
समझो तो सब कुछ न समझो तो कुछ भी नहीं
सिर्फ इक ज़ज्बा है किसी की चाहत का, चाहने का
और ताउम्र का इरादा बन जाता है उसे पाने का
पा लिया तो उसकी आदते और वजाहतें सामने आती हैं
कुछ पसंद कुछ नापसंद, और कुछ ख्वाब तोड़ने लगती हैं
परेशान से हम ढूंढते रहते हैं जिसका तसुव्वर किया था कभी
देखा था जिस इंसान को खवाबों की उस धुंधली तस्वीर में कभी
यह इंसान अजनबी है या वह थी तस्वीर किसी और की
इसी कशमकश में काटने लगते है ज़िन्दगी अपनी बाकी
भूल जाते है की हकीकत में मुहब्बत फक्त करने का एहसास है
किसी और की मुहब्बत होने की आरजू तो सिर्फ अधूरी प्यास है
शिद्दत से मुहब्बत करना ही है तेरे बस की बात 'विकास' और कुछ नहीं
वो लौटाए तेरी मुहब्बत या न लौटाए इस पर तेरा इख्तियार नहीं.......

POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Years Ago... I saw a ' Love Is......' poster. It said Love is an act of giving and giving only... It became my fav quote instantly... and to-date it is. This Nazm somewhere tries to elaborate that......
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success