Mujhe Chahat Hai Poem by Shrini Deewana

Mujhe Chahat Hai

Mujhe Zindagi jeene ki chahat hai, Tumhein bahon mein bharne ki chahat hai,
Tere badan ki jo khushboo hai, Use mehsoos karne ki chahat hai.
Tere ghesuon ke saaye mein, mujhe chup jaane ki chahat hai,
Tere baahon mein sar rakh kar, mujhe ab rone ki chahat hai.

Dil lagta nahin hai ab tum bin, kuch bhi kiya nahin jaata mujhse,
Raaton mein aati hai bas khawab teri, to din mein tum yaadon mein satati ho,
Aisa ek pal bhi nahin hai jeeven mein, jab tum nahin ho mere yaadon mein,
Yeh kaisi hai tadap yeh kaisi hai kashish, Jo na jeene deti na marne deti.

Jab se aayee ho tum jeevan mein mere, mere hothon mein layee ho haseen,
Jab se hui hai mohabbat tumse, mere jeevan mein bas chayee hai khushi,
Kabhi yeh socha bhi na tha ke mujhko bhi hogi kabhi kisise mohabbat aisi,
Tum ho koi pari, yaa koi devi, yaa tum ho koi jaadugarni.

Ab bas tadap hai mere dil meinm aur tumse milne ki ab chahat hai,
Bas mujhe ab is jeevan mein, tujhe choone ki ek chahat hai,
Tere badan ki woh komalta kaisi hai, yeh mehsoos karne ki chahat hai,
Darr hai yehi rukh jaaye na kahin saanse meri tujhe milne se pehele.

Karta hoon dua, ai mere khuda lambi jeevan tu de de mujhe,
Us din tak ab jeena hai mujhe, jab tak mein na mil paoon apne dilbar se,
Dilbar ko milne ki chahat hai, uske hothon ke ras peene ki mujhe chahat hai,
Ai mere khuda ab de de dua, ke lambi jeevan jeene ki mujhe chahat hai.

Shrini “Deewana”

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success