Nazm... Vasl (The Meeting) Poem by Khatab Gulzar

Nazm... Vasl (The Meeting)

Vasl
Aghr yeh vasl firaaq nahi hota tum hote
main hota aur kalm ka rishta hota
Main haath main kalm liyeh tumhare baare likhneh main kitna beparwah hota
Aik justuju hoti aik faisla hota
tum
meray aasharon main kho jaateh
Mujhy bhi inki kashish ka ghumaa hota
Tumpeh sher kehneh ka aik silsila hota
Bahes ky liyeh humare darmiyan
Koi khyaal koi baat koi falsAfa hota
Rehteh Khaamoshiyun ky darwaze band
Aur sukhanwari hi srf aik raasta hota
Tum main zamaneh ki sochein algh hotien
Srf Meray liyeh aik khyaal tanha hota
Kaash humari zindagi ki kitaab main
Is manzar Nameh ka bhi koi safa hota

Aghr yeh vasl firaaq nahi hota tum hote
main hota aur kalm ka rishta hota

khatab Gulzar

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success